Raaz-e-Ulfat OST Lyrics in Urdu and Roman Urdu
رازِ اُلفت
Tumhi Tu They Khiyalon Mein Tumhi They Be Khiyali Mein.Koi Aanso Na Thehra Tha Jhari Palkon Ki Jali Mein.
Tumhein Pa Ke Kahan Khush They Tumhein Kho Ke Kahan Roein.
Karey Tu Kya Karey Koi Agar Taqdeer Hi Soye.
Yehi Tu Raz-e-Ulfat Hai Jo Har Aanso Ka Rukh Mora.
Bohat Khush Hain Tere Barey Mein Jab Se Sochna Chora.
Hain Zindah Hum Magar Tum Ne Diya Dukh Tu Nahi Thora.
Mujhe Tum Dil Pe Likh Letey Agar Taqdeer Se Pehle.
Chalakta Ishq Rangon Se Har Ik Tasveer Se Pehle.
Yeh Hum Bhi Jantay Hain Kis Tarha Tum Ne Yeh Dil Tora.
Abhi Kuch Aag Baqi Thi Tere Milne Bicharne Ki.
Mera Tan Man Bikharne Ki Meri Sansein Ukharne Ki.
Jo Rishta Tum Ne Tora Tha Na Jane Kyun Nahi Jora.
Poet: :Sabir Zafar:
Composition: :Shani Arshad:
Singer: :Shani Arshad, Aima Baig:
Written by: Maha Malik
Directed by: Siraj-ul-Haq
Produced by: Abdullah Kadwani
D.O.P:
Channel: Geo Entertainment
Cast and Character Details:
Shahzad Shaikh
Manzoor Qureshi
Farhan Ali Agha
Yumna Zaidi
Komal Aziz
Hina Bayat
Seemi Pasha
Gohar Rasheed
Tara Mehmood
Kiran Haq
Anum Tanveer
https://lyricswriteup.blogspot.com/
Comments
Post a Comment