Teri Aankhon Ke Dariya Ka Lyrics In Urdu | Rahat Fateh Ali Khan | Khalil Ur Rehman Qamar
تیری آنکھوں کے دریا کا اُترنا بھی ضروری تھا
Lafz Kitne Hi Tere Pairon Se Liptay Hoon Gay.
Tu Ne Jab Aakhri Khat Mera Jalaya Hoga.
Tu Ne Jab Phool Kitabon Se Nikalay Hoon Gay.
Deney Wala Bhi Tujhey Yaad Tu Aaya Hoga.
Teri Aankhon Ke Darya Ka Utarna Bhi Zarori Tha.
Muhabbat Bhi Zarori Thi Bicharna Bhi Zarori Tha.
Zarori Tha Keh Hum Dono Tawaf-e-Aarzu Kartay.
Magar Phir Arzoon Ka Bikharna Bhi Zarori Tha.
Batao Yaad Hai Tum Ko Woh Jab Dil Ko Churaya Tha.
Churai Cheez Ko Tum Ne Khuda Ka Ghar Banaya Tha.
Woh Jab Kehte They Mera Naam Tum Tasbeeh Mein Parhtay Ho.
Muhabbat Ki Namazon Ko Qaza Karne Se Dartay Ho.
Magar Ab Yaad Aata Hai Woh Batein Thin Mehaz Batein.
Kahin Baton Hi Baton Mein Mukarna Bhi Zarori Tha.
Wohi Hain Sortein Apni Wohi Main Hoon Wohi Tum Ho.
Magar Khoya Howa Hoon Main Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho.
Muhabbat Mein Daga Ki Thi So Kafir They So Kafir Hain.
Mili Hain Manzalein Phir Bhi Musafir They Musafir Hain.
Tere Dil Ke Nikalay Hum Kahan Bhatkay Kahan Pohanchay.
Magar Bhatkay Tu Yaad Aaya Bhatakna Bhi Zarori Tha.
Poet: :Khalil Ur Rehman Qamar:
Singer: :Rahat Fateh Ali Khan:
#songslyrics
#lyrics
#Zaroritha
Comments
Post a Comment